Speak your heart with Love Shayari SMS
Love Shayari SMS for every poetic heart that believes in love. A collection of creative and original Love sher-o-shayari SMS that are sure to fill your heart with romance and passion. These Love shayaris SMS are so touching, you won’t be able to stop sharing them with your lover and beloved. Some Love SMS sher will keep running on your mind even after you are done reading these Love Shayari SMS. Be it Mohabbat love shayari, SMS pyar shayari, love shayari for him and her, funny love shayari, every sher is a feeling of love in itself. These Love Shayri SMS are not just poems, but can be used as wishes and greetings too. So no matter how the love of your life is feeling, one Love Shayari SMS will make their heart melt. Every Love Shayari SMS message in this collection is 160 characters and yet, the shers are so beautiful, you won’t be able to resist sharing these two line love shayaris and four line love shayaris on your Facebook wall and Twitter timeline. These Love Shayari SMS messages for every age is your passport to a world of bliss. Enjoy Love Shar-o-shayari SMS and celebrate the feeling of love to fullest.
Aadhi raat ko sapna
Aadhi raat ko sapna aa jata hai,
phir sona mushkil ho jata hai.
Rab ki kasam maine pyar nahin kiya,
yeh pyar to apne aap hi ho jata hai.
Aahista aahista milte milte
Aahista – aahista milte milte aa gaye mere itne kareeb, jo kal tak hua karte the ajnabi ban gaye hain aaj wo hi mera naseeb.
Aaine par bhi parda
Aaine par bhi parda karke dekha, khud ko bhi humne tanha karke dekha, pata chal gaya hume kitni mohabbat hai aapse, jab teri yaad ko dil se juda karke dekha.
Aaj bhi ek sawaal
Aaj bhi ek sawaal hai dil mein, pyaar ka gum be-shumaar hai dil mein, kuchh keh nahin paata yeh dil magar kisi ke liye bahut pyar hai iss dil mein.
Aaj dil ki baat
Aaj dil ki baat kehne ko ji chahta hai, tere dil mein rehne ko ji chahta hai, rab jaane tera mera kya rishta hai, bas tujhe apna kehne ko ji chahta hai.
Aaj ehsaas ko daaman
Aaj ehsaas ko daaman mein gira ke dekho, pyaar kitna sacha hai dil laga ke dekho, aapko bhool kar kya hogi dil ki haalat, kisi aaine par patthar gira ke dekho.
Aaj har ek pal
Aaj har ek pal khoobsurat hai, dil mein teri sirf teri surat hai. Kuch bhi kahe ye duniya gum nahi, duniya se jyaada humko teri zarurat hai.
Aaj har rishta bazaar
Aaj har rishta bazaar mein bikta hai, dil se kisi ke dil mein kaun tikta hai, lekin hamare dil mein sirf aap rehte ho, kyunki aap mein hume rab dikhta hai.
Aaj ikraar kar liya
Aaj ikraar kar liya humne, khud ko bimaar kar liya humne. Ab to lagta hai jaan jaayege, tumse jo pyaar kar liya humne.
Aaj ishq mein had
Aaj ishq mein had se guzar jaane de, ankhon ke raaste dil mein utar jaane de, hum rahenge sada teri baahon mein, apne aagosh mein humko pighal jaane de.
Aaj jo uthe haath
Aaj jo uthe haath dua ki khaatir
band honthon ne apka naam liya
jo dena chaha khuda ne mujhe kuch
woh sab maine aapke liye maang liya!
Aaj kal har shaksh
Aaj kal har shaksh hume jindagi kaise jiye ye sikha jaata hai, unhe kon samjhaaye ek khwaab adhura hai humara, varna humse behtar jeena kise aata hai.
Aaj mohabbat ki inteha
Aaj mohabbat ki inteha kar do, apna banaa lo ya tanha kar do, dil ke aangan mein mehmaan bana lo, ya phir mar kar bhi na mare aisi wafa kar do.
Aaj tak hum tumse
Aaj tak hum tumse keh na sake, aaj pyaar se iqraar karte hain, jise tum roz dekhte ho aaine mein, ussi se hum be-panah pyaar karte hain…
Aakar bas jao mere
Aakar bas jao mere dil ke makaan me
iska kiraaya apno se liya nahi karte
hum rakhenge is tarah tumhein apna bana kar
nakhunon se maas jaise juda hua nahi karte.
Aankh band karke jab
Aankh band karke jab dil ke aaine mein dekhogi raat mein,
ik haseen sapna lagunga,
khokar zindagi se jab kabhi milogi phir kya pata tumko main kaisa lagunga.
Aankh kholu to chahera
Aankh kholu to chahera tumhara ho, aankh bandh karu to sapna tumhara ho, mar bhi jaaun to koi gam nahi, kafan ke badle dupatta tumhara ho.
Aankhe aaj rona chahti
Aankhe aaj rona chahti hain, yaadon mein uski khona chahti hain, koi itna pyaar de gaya zindagi mein, zindagi bhi khone se pehle kisi ki hona chahti hai.
Aankhe dil ki zubaan
Aankhe dil ki zubaan hoti hain. Mohabbat to sada bezubaan hoti hai. Pyaar mein dard bhi milay to kya ghabarana, suna hai dard se hi mohabbat jawaan hoti hai.
Aankhein band ho to
Aankhein band ho to unke sapne, aankhein khuli ho to unki yaad, naa ho kabhi dil se dur, apni to bas yehi hai fariyaad.
Aankhein thi kahaan itni
Aankhein thi kahaan itni sharaabi pehle, chehra tha kahan itna kitaabi pehle, aaina to zaraa dekhiye pyaar hone ke baad, kya honth the itne hi gulaabi pehle.
Aankhein to pyar mein
Aankhein to pyar mein dil ki zuban hoti hain
sachchi chaahat to sada bezuban hoti hai
pyar me dard bhi miley to kya ghabrana ,
suna he dard se chahat aur jawa hoti he
Aankhen band bhi ho
Aankhen band bhi ho jaayein to bhi tera deedar hum karenge, tu chaahe ya na chaahe hume, par aakhiri saans tak sirf tujhe pyaar hum karenge.
Aankhen dil ki zubaan
Aankhen dil ki zubaan hoti hain, Sacchi chahat bezubaan hoti hai, Pyar mein dard mile toh kya ghabarana, Dard se hi chahat jawan hoti hai.
Aankhon ke ishaare samajh
Aankhon ke ishaare samajh nahi paate, hontho se dil ki baat keh nahi paate, apni bebasi hum kis tarah kahe, koi hai jiske bina hum reh nahi paate.
Aankhon ke samne hardam
Aankhon ke samne hardam aapko paya hai, dil mein bhi aapko hi basaaya hai, aapke bin hum jiyenge kaise, bhala jaan bina bhi koi jee paaya hai.
Aankhon mein aansu ki
Aankhon mein aansu ki jagah na ho, mere pass aapko bhulaane ki wajah na ho, agar bhul jaau kisi tarah to khuda kare, zindagi ki agli subah na ho.
Aankhon mein ashq diya
Aankhon mein ashq diya karte hain, Apni neende tere naam kiya karte hain, Jab bhi aaye hichkiyan tumhe, samajh lene hum yaad karte hain!
Aankhon mein intzaar ki
Aankhon mein intzaar ki lakeer chhor jaayenge. Dil mein yaadon ki kami chhor jaayenge, aapko chahenge hum itna ki, marne ke baad bhi aapko yaad aayenge.
Aankhon se aansuon ko
Aankhon se aansuon ko ubharne na diya,
in motiyon ko bikharne na diya,
jis rah pe the tere kadmon ke nishaan,
us raah se kisi ko guzarne na diya.
Aansoo aa jaate hain
Aansoo aa jaate hain aankhon mein, par labon pe hasi laani padti hai, yeh mohabbat bhi kya cheez hai yaaro, jisse karte ho usi se chupaani padti hai..
Aansu ki tarah na
Aansu ki tarah na beh jaao tum, dua hai kabhi meri zindagi se na jaao tum, maut ka dar nahi hai, bus darr hai maut se pehle na bichad jaao tum.
Aansu nikal aate hain
Aansu nikal aate hain rone se pehle, har khwaab toot jaatein hain sone se pehle, ishq hain gunaah ye to samajh mein aa gaya, kaash koi rok leta ye hone se pehle
Aao tumko palko mein
Aao tumko palko mein chupa le, be-karaar dil ki dhadkan mein basa le, kya pata kis mod pe bichhad jaaye hum, isse pehle pyaar ki ek duniya basa le.
Aap aatey hain toh
Aap aatey hain toh milne se khushi hoti hai,
haye kya cheez mohabbat ki ghadi hoti hai!
Aap hi ho khayaal
Aap hi ho khayaal mein hamare din raat, kehni hai humko aapse kuch baat. Mauka to dekar dekhiye humko, inkaar na kar paaoge kyunki sacche hai hamare jazbaat.
Aap jaise log khaas
Aap jaise log khaas lagte hain, Man mein hamesha hum ek aas rakte hain, Jaane kab aa jaaye SMS aapka, Isliye cell dil ke paas rakhte hain.
Aap ki dhadkan se
Aap ki dhadkan se hai rishta humara, aap ki sanso se hai naata humara, bhool kar bhi kabhi bhool na jana, aap ki yaadon ke sahaare hai jeena humara.
Aap kudrat ki banaayi
Aap kudrat ki banaayi tasveer ho, mere dil se judi ek janjeer ho, hum to us haath ko hi kaat denge, jis haath mein aapse judaai ki lakeer ho.
Aap lakh bhula ke
Aap lakh bhula ke dekh lo hum yaad aayenge, honge aapke chahne waale hum sabse badhkar chahenge, aap paani pee kar thak jaaoge, hum hichkiyan banke aayenge.
Aap nahi jaanti aap
Aap nahi jaanti aap kitni pyaari ho, jaan ho hamari par jaan se pyaari ho, duriyon ke hone se koi fark nahi padta, aap kal bhi hamari thi aur aaj bhi hamari ho.
Aap rehte ho door
Aap rehte ho door kuch pal ke liye, door rehkar bhi kareeb ho har pal ke liye, kaise yaad na aaye aapki ek pal ke liye, jab ke dil mein ho aap har pal ke liye.
Aap to manzil ko
Aap to manzil ko mushkil samajhte hain
ham apko manzil samajhte hain
bada fark hai apke aur hamaare nazariye me
aap hame sapna aur ham aapko apna samajhte hain.
Aapke aane se jindagi
Aapke aane se jindagi kitni khoobsurat hai, dil mein jo basi wo aapki surat hai, dur jana nahi humse kabhi bhulkar bhi, hume har kadam par aapki jarurat hai.
Aapke didaar ko nikal
Aapke didaar ko nikal aaye hai taare, aapki khushbu se cha gayi hai bahaare, aapke saath dikhte hai kuch aise nazaare, ki chupke se chand bhi bas aapko nihaare.
Aapke dil mein pyaar
Aapke dil mein pyaar ki buniyaad rakhenge, khud ko kaid aapko ajaad rakhenge, kahi ho na jaaye koi gustaakhi humse, isliye apne kadam hum aapke baad rakhenge.
Aapke gusse mein bhi
Aapke gusse mein bhi pyaar chalakta hai,
anokhi adaaon pe mar mitne ko dil karta hai,
bade sajde kiye hain aapko paane ke liye
ab sirf aapki hi hona chahti hu!
Aapke liye hum paigham
Aapke liye hum paigham likhte hain, Saath guzri baaten tamaam likhte hain, Deewani ho jati hai woh kalam bhi, Jisse aapka naam likhte hain.
Aapke pyaar ko salam
Aapke pyaar ko salam kiya hai, jeene ka har andaaz aapke naam kiya hai, maang lijiye khuda se aaj kuch bhi, humne apni har mannat ko aapke naam kiya hai…
Aapke pyaar mein hum
Aapke pyaar mein hum mashoor ho gaye, aapse kareeb hokar auron se door ho gaye. Apni keemat kuch thi kahaan, tute kaanch the, ab kohinoor ho gaye.
Aapke pyar mein ham
Aapke pyar mein ham mashoor ho gaye,
aapse kareeb hokar auron se door ho gaye.
Apni keemat kuch thi kahaan,
toote kaanch the par kohinoor ho gaye.
Aapki chaahat hamaari kahani
Aapki chaahat hamaari kahani hai
yeh kahani is waqt ki meherbani hai
hamaari maut ka to pata nahin
par yeh zindagi sirf aapki deewani hai!
Aapki dua se hume
Aapki dua se hume wo sahara mila, jo mil na saka wo kinara mila, kin lafjo mein hum bayaan kare, ki jaane kitno ke bheed mein, hame koi itna pyaara mila.
Aapki duniya se jaane
Aapki duniya se jaane ke baad, hum aapko har ek taare mein nazar aaya karenge, aap har pal koi duaa maang lena, hum har pal toot jaaya karenge.
Aapki Mehfil Ka Mausam
Aapki Mehfil Ka Mausam Suhana Lage, Ek Pal Churalu Agar Bura Na Lage, Aap Mujhe Milkar Bhul Jaaoge, Par Aaapko Bhulane Mein Shayad Mujhko Zamana Lage.
Aapki mithi baatien mere
Aapki mithi baatien mere dil ko lubhati hain,
bhigi si muskaan deewana kar jati hai.
zamaane ki nazron se aapko chupana chahti hu,
sirf aapki hi hona chahti hu!
Aapki yaad meri jaan
Aapki yaad meri jaan hai, shayad is haqeeqat se aap anjaan hai, mujhe khud nahi pata ki mera wajood kya hai, shaayad aapka pyaar hi meri pehchaan hai.
Aapko bhool jaaye yeh
Aapko bhool jaaye yeh namumkin si baat hai, aapko na ho yakeen yeh aur baat hai. Jab tak jaan hai yaadein tab tak rahengi, saans toot jaaye toh aur baat hai.
Aapko dekh kar yeh
Aapko dekh kar yeh nigaah jhuk jaayegi, khamoshi har baat keh jaayegi, padh lena in aankhon mein pyar ko, aapki kasam saari qaaynaat wahin ruk jaayegi.
Aapko dekhne ki hasrat
Aapko dekhne ki hasrat ho rahi hai, aapse is kadar chahat ho gayi hai, aap milo ya na milo humse, par hume aapko dil mein rakhne ki aadat ho gayi hai.
Aapko paane ki khwaahish
Aapko paane ki khwaahish jeene se jyada, aapko khone ka dar marne se jyada, aapse bichdne ka dard har dard se jyada, kyunki hum aapko chahte hai khud se jyada.
Aapko yaad karna roz
Aapko yaad karna roz ki baat hai
aap se door rehna kismat ki baat hai
magar aapse milna naseeb ki baat hai!
Aapne kaha mohabbat poori
Aapne kaha mohabbat poori nahi hoti, hum kehte hai har baar ye baat jaruri nahi hoti, mohabbat to wo bhi karte hai, unse jinhe paane ki umeed nahi hoti..
Aapse doori ke ehsaas
Aapse doori ke ehsaas sataane lage, Saath guzaare lamhe yaad aane lage, Jab aapko bhoolne ki koshish ki, Aap dil ke aur kareeb aane lage!
Aapse dur bhala hum
Aapse dur bhala hum kaise reh paate, dilse aapko kaise bhula paate, kaash ki aap saanso ke alava aaine mein bhi base hote, khud ko dekhte to aap hi nazar aate.
Aashaon ke jokhim mein
Aashaon ke jokhim mein jina aata nahin
toot jaye jo gharaunda vo banaata nahin
chod de tanha zindagi mein hamein koi
aisa pyar kisi ke dil mein jagaata nahin!
Aashik tu soch tera
Aashik tu soch tera kya hoga kyunki, hashar ki parvah main nahi karta, fanah hona rivaayat hai tumhari, ishq naam hai mera main nahi marta.
Aashiq hai tere sadiyo
Aashiq hai tere sadiyo se hum. Itni mohabbat kisne ki hai sanam. Hadd se zyaada chaaha hai tumko humne. Maange tu jaan bhi toh piche hatege na kabhi mere kadam.
Aashiqui me tere badnaam
Aashiqui me tere badnaam hai hum, teri chahat-se bhi anjaan hai hum, chalogi kya mere saath do kadam, bas kuch din ke mehmaan hai hum.
Aasma ko neend aaye
Aasma ko neend aaye sulaun kahan, Dharti ko maut aaye dafnaun kahan, Sagar mein lehar aaye chupaun kahan, Teri yaad aaye toh jaun kahan.
Aasmaan se tod ke
Aasmaan se tod ke ek tara diya hai, meri tanhaai ko ik sahaara diya hai, meri kismat bhi naaj karti hai mujh par, ki khuda ne pyaar hi itna pyaara diya hai…
Aasman mein kitne taare
Aasman mein kitne taare , par chand jaisa koi nahi, is dharti par kitne chehre par aap jaisa koi nahi.
Aawaaz toh aati hai
Aawaaz toh aati hai teri
lekin tere hothon ka ehsaas nahin hota,
tujhe dekhne ki chaahat tadpa jaati hai mujhe,
jaane kyon ye sapna mera sach nahin hota.
Aazmaish pyaar mein zaruri
Aazmaish pyaar mein zaruri hoti hai, na mil pana kisi ki majburi hoti hai, yaad dur se kar to sakte hai, lekin dil ki hasrat to mulakaat se hi poori hoti hai.
Aazmaish pyar me zaroori
Aazmaish pyar me zaroori hoti hai
na mil pana kisi ki majburi hoti hai
yaad apko door se kar to saktein hain
lekin dil ki hasrat to mulaqat se hi puri hoti hai!