Home » Shayari SMS » Sad Shayari SMS » Dard jitna hai meri
Dard jitna hai meri
Dard jitna hai meri nigahon mein,
na de khuda kisiki raahon mein,
bitana chahte they zindagi jinki baahon mein
shayad maut bhi na mil payegi unki panahon mein!
Dard jitna saha jaaye
Dard jitna saha jaaye utna hi sehna, Kisi ke dil ko jo lag jaye vo baat na kehna, Milte hain hamare jaise dost bahut kam, Isliye humse ‘Kabhi Alvida Na Kehna’
Aye khuda karde fanaa
Aye khuda karde fanaa mohabbat mein
zindagi karde khatam unki hi chahat mein
hai meri yeh aarzoo marne se pehle
char pal main ji sakun unki inaayat mein.
Meri maut ki wajah
Meri maut ki wajah hai har koi,
maut toh hum dono ki saath hui,
mere armaanon ki, jinhone sada mera sath diya
aur meri dil ne sirf tujhe hi yaad kiya.
Ek dard tha unki
Ek dard tha unki aankhon me mere bagair
aah thi unki zubaan me mere bagair
ro rahe the mere intezar me wo is kadar
khoya sa junoon tha unki awaz me mere bagair.
Dard kafi hai bekhudi
Dard kafi hai bekhudi ke liye, maut zaroori hai zindagi ke liye, kaun marta hai kisi ke liye hum to zinda hai sirf aap jaise dumbo ke liye!!
Kaash meri zindagi mein
Kaash meri zindagi mein koi sapna sach hota,
kaash meri zindagi mein koi apna hota,
kaash meri zindagi mein yaaron;
kaash hi na hota!
Jinki yaad mein hum
Jinki yaad mein hum deewane ho gaye, Woh humse begaane ho gaye, Shayad unhe talash hai naye pyar ki, Unki nazar mein hum purane ho gaye.
Jinki yaad mein ham
Jinki yaad mein ham deewane ho gaye,
woh hi hamse begaane ho gaye,
shayad unhein talaash hai ab naye dost ki,
kyonki unki nazron mein ham purane ho gaye!
Jitna maine kiya kaun
Jitna maine kiya kaun itna pyar karega,
meri batein tujhe yad aaya karengi,
meri aashiqui, deewangi bhulegi kaise,
teri dhadkan, teri saansein tujhe rulayengi.