Home » Shayari SMS » Love Shayari SMS » Katatey nahin din katati
Katatey nahin din katati
Katatey nahin din, katati nahin raatein,
kya ishq mein intezar zaruri hai,
ishq mein wafa nahin kar paate kuch log,
kya ishq mein bewafai zaruri hai.
Haalat hai meri majnuon
Haalat hai meri majnuon jaisi,
kya tumhein laila hona zaruri hai,
mar mitey they ishq mein kuch log,
kya ishq mein milna zaruri hai?
Aankhon ki zubaan woh
Aankhon ki zubaan woh samajh nahin paate. Honth to hain magar kuch keh nahin paate. Apni bebasi kis tarha kahein hum? Koi to hai jiske bina hum reh nahin paate.
Dosti karke koi jataye
Dosti karke koi jataye yeh zaruri toh nahin,
yaad karke koi bataye yeh zaruri toh nahin,
rone wala dil hi mein ro le,
aankh mein aansu aye yeh zaruri toh nahin.
Hamaari kahaani abhi adhuri
Hamaari kahaani abhi adhuri hai,
kya ishq mein ijahaar zaruri hai,
mat socho kya kahega koi hamein,
kya unko sunna zaruri hai?
Koi mila hi nahin
Koi mila hi nahin jisko wafa dete
har ik ne dokha diya kis kis ko saza dete
yeh hamara dil tha ke khamosh rahe warna
daastan sunatey to mehfil ko rula deta.
Aisa nahin ki aapki
Aisa nahin ki aapki yaad aati nahin,
khata sirf itni ki hum bataate nahin,
DOSTI aapki anmol hai hamare liye,
samjhte ho aap isliye jataate nahin.
Bhulaye bhi nahin jaate
Bhulaye bhi nahin jaate, gale se lagaye bhi nahin jaate,
ajnabi nahin hain, phir bhi apne kehlaye nahin jaate.
Deewana hoon tera inkaar
Deewana hoon tera inkaar nahin,
kaise keh doon ke pyaar nahin,
kuch sharaarat toh teri nazaron mein bhi thi,
main akela hi gunahgaar nahin.
Kisi ke pyar mein
Kisi ke pyar mein gehri chot khai hai, wafa se pehle bewafai paai hai, log dua mangte hain is haal mein marne ki, humne uski yaadon mein jeene ki kasam khai hai