Home » Shayari SMS » Timepass Shayari SMS » Aansoon ko aankhon ki
Aansoon ko aankhon ki
Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
dil ki haalat kisiko bataya na karo
log muththi bhar namak liye ghoomte hain
apne zakham kisiko dikhaya na karo!
Aaj meri aankhon mein
Aaj meri aankhon mein itna paani bhar gaya hai, Tu agar mera aasiyaana bhi jalaaye to meri aankhon ki baarish usse bujha degi.
Apne aankhon ke aansu
Apne aankhon ke aansu mere naam kar do, apne gum mere nam kar do, saat janam se teri chahat basi hai dil mein, apne is janam ka saath tum mujhe daan kar do.
Itna Na Yaad Aaya
Itna Na Yaad Aaya Karo ke Raat bhar So Na Sakein. Subah Ko Surkh Aankhon Ka Sabab Poochte Hain Log.
Itna naa yaad aaya
Itna naa yaad aaya karo ke raat bhar so naa sakein. Subah ko surkh aankhon ka sabab poochte hain log. Good Night
Aankhon mein ashq diya
Aankhon mein ashq diya karte hain, Apni neende tere naam kiya karte hain, Jab bhi aaye hichkiyan tumhe, samajh lene hum yaad karte hain!
Samandar bhar syllabus hota
Samandar bhar syllabus hota hai, nadi bhar padh paate hain. Balti bhar yaad rehta hai, chuloo bhar number aate hain. Jis mein hum doob jaate hain.
Aankhon mein ajab sa
Aankhon mein ajab sa suroor hai
chehre pe aapke chand sa noor hai
Jo bhi dekh le nikalta hai muh se
Aap ladki nahi jannat ki hoor hain.
Aankhon se aansu kyu
Aankhon se aansu kyu chalak jaate hain? Tanhaai mein gam kyun yaad aate hain? Paas aakar koi hume ye bata de dur rehne waale aksar kyun yaad aate hai.
Jaane kyun meri aankhon
Jaane kyun meri aankhon mein aa gaye aansu, kisi ne haath badhaaya jo dosti ke liye.