Home » Shayari SMS » Love Shayari SMS » Dard ki deewar pe
Dard ki deewar pe
Dard ki deewar pe fariyad likha karte hain
har raat tanhai ko aabaad kiya karte hain
aye khuda khush rakhna unhein hamesha
jinhein har pal yaad kiya karte hain.
Jo log dard ko
Jo log dard ko samjhate hain wo kabhi bhi dard ki wajah nahi bante aur jo log sacchi dosti karte hain wo dard sehna to jaante hain lekin dard dena nahi jaante.
Aankhon mein ashq diya
Aankhon mein ashq diya karte hain, Apni neende tere naam kiya karte hain, Jab bhi aaye hichkiyan tumhe, samajh lene hum yaad karte hain!
Aaj aapki shaadi ki
Aaj aapki shaadi ki saalgirah par
Aapko dil se yaad kiya jaa raha hai
Ye khoobsurat jodi hamesha salamat rakhna
Khuda se kaha jaa raha hai.
Happy Anniversary.
Dosti ka haq hum
Dosti ka haq hum yun ada karte hain, aap ke naam ye jaan fida karte hain. Aapko phool ka zakhm bhi na aane paaye, khuda se hum yahi dua karte hain.
Aankh jab band kiya
Aankh jab band kiya karte hain. Saamne aap huwa karte hain. Aap jaisa hi mujhe lagta hai. Khwaab mein jisse mila karte hain. Good Morning.
Har Khushi Mein Aapki
Har Khushi Mein Aapki Baat Karte Hai, Aapki Salamati Ki Fariyad Karte Hai. Is Khamosh SMS Se Kya Bataye, Hum Aapko Kitna Yaad Karte Hai
Sitam karo toh hum
Sitam karo toh hum gila nahi karte, Veerano mein phool khila nai karte, Itna sada yaad rakhna, Hum jaise chahane wale sabko mila nahi karte.
Agar Manzil Ko Pana
Agar Manzil Ko Pana Hai To Hausla Saath Rakhna Agar Pyar Pana Hai To Aitbaar Sath Rakhna, Agar Hamesha Muskurana Hai To Hame Yaad Rakhna.
Chale aao tumhe hum
Chale aao tumhe hum yaad karte hain, Ye wo gunah hai jo hum baar-baar karte hain, Jala ke dil mein hasraton ke chirag, Tumhare aane ka intezar karte hain.